Lo chaa gaya phir kohra jaade ka
beet gaya aur ek sawaan tere intezaar ka
yeh zaalim rute aati hai
tere milne ki pyaas aur badha jaati hai
aab neer nahi bahati yeh aakhiya
aur nahi gaate koi geet aab mere hooth
har aahat par kadam jo aagan ka rukh karte they
muye teri tasveer tak bhi nahi phuchate
bus yeh kambaqkht dil hi toh hai
jo manta nahi
har dhadkan par tera naam
umeede karna bus iska kaam
laakho sajaye hai isne sapne
tum hi toh mere apne
is bar aavoge tum
hum tum jo bheeg jaye woh saavan phir laavoge tum
tere daras ki aas hai
bus tere milne ki pyaas hai
hey..bhupenbhai thats a great poem…since when did you become poet?
not that great..i do write some times…started writing 10 years ago…